Youtube Hindi video Se Paise Kaise Kamaye
Youtube से पैसे कैसे कमाए हिन्दी में पूरी जानकारी
Aaj Ka Samay Internet Ka Yug Hai Yaani Hame Kuch Bhi Janna Hai Dekhna Hai Ya Pata Karna Hai To Ham Sidhe Internet Ka Hi Sahara Lete Hai, Aise Me Social Media, Search Engine Aur Online Video Ka Prachalan Bahut Hi Teji Se Badha Hai.
To Aise Me Youtube Ka Naam Bhala Jo Internet Use Karte Hai Jarur Sunte Honge Ya Youtube Par Online Video Jarur Dekhte Honge.
To Jara Sochiye Yadi Isi Youtube Se Paise Bhi Kamane Lage Yaa Youtube Se Video Dekhne Ke Paise Milne Lage To Fir Online Paise Kamana Vastav Me Sach Ho Sakta Hai Aur Aisa 100% Satya Youtube Ke Sath Hai Ki Aap Youtube Par Video Upload Karke Paise Kama Sakte Hai.
Lekin Youtube Se Paise Kaman Ke Liye Bhi Kayi Saare Rule Bhi Hai Jinhe Janna Jaruri Hota Hai To Aise Me Youtube Se Paise Kamane Ke Aaj Ham Sabhi Saare Tips Aapko Batane Jaa Rahe Hai.
यूट्यूब से पैसे कैसे कमाए हिन्दी
Youtube Se Paise Kamaye Best Tips Ki Poori Janakri Hindi Me
Sabse Pahle Yah Jan Le Ki Yadi Ham Koi Business Shuru Karte Hai To Sabse Phle Us Business Ko Shuru Krne Ke Liye Paise Bhi Lagane Padte Hai Lekin Youtube Ke Mamle Me Aisa Nhi Hai. Yaani Zero (0) Invest Ke Aap Lakho Rupye Kama Skte Hai.
Lekin Ish Baat Ka Bhi Hme Dhyan Rkhna Chahiye Ki Aaj Hi Aapne Koi 1 Video Youtube Par Upload Kiya Aur Aaj Se Hi Paise Kamane Lage To Yah Aapki Galatfahmi Ho Sakti Hai. Quki Paise Kamane Ke Liye Har Jagah Rule Aur Niyam Bane Hote Hai Aise Youtube Ke Mamle Me Bhi Hai.
To Aayiye Ish Post Ke Madhyam Se Jante Hai Ki Youtube Se Paise Kaise Kama Sakte Hai.. To Sabse Pahle Yah Jaan Lena Jaruri Hai Ki Youtube Par Paise Kamane Ke Liye Kya Kya Krna Padta Hai.
यूट्यूब से पैसे कमाने के लिए जरुरी चीजे
Youtube Se Paise Kaman Ke Liye Kya Chahiye
Yah Ek Aap Sabhi Ke Liye Ek Siddha Sa Sawal Hai Ki Youtube Se Paise Kaman Ke Liye Kya Kya Chahiye To Jaan Le Ki Youtube Se Paise Kamane Ke Liye Ye Chije Hona Jaruri Hai
टेक्निकल सपोर्ट | Technical Support
1 – Gmail Account –
Youtube Se Paise Kaman Ke Liye Gmail Account Ka Hona Jaruri Hai, To Aise Me Yadi Aapke Paas Gmail Id Nahi Hai To Aap Apna Gmail ID Turant Bana Le.
2 – Youtube Sign UP –
Ab Aate Hai Next Step Par Jaise Hi Aap Gmail Account Hai Ya Bana Liye Hai To Sabse Pahle Aap Youtube.Com Ya Search Engine Se Youtube Search Karke Youtube Website Par Jana Honga Iske Baad Waha Aapko Sign UP Yaani Apna Account Bnana Hai To Aap Jaise Hi Signup Par Click Karke Apne Gmail Id Aur Password Se Login Kar Le.
3 – Create New Channel
Youtube Me Sign Up Hone Ke Baad Aapko Next Option Create New Channel Aayega. Isme Aapko Apna Channel Create Karna Hoga. To Channel Ka Naam Kaisa Ho Yah Apke Video Ke Type Par Nirbhar Karta Hai Jaise Funny Video, Tech Ka Gyan, Song, Motivational, Blog Help, News Jaisa Koi Aisa Popular Type Ke Video Aap Bana Rahe Hai To Waise Hi Us Category Se Milta Julta Channel Ka Naam Bhi Rakhe. Jisse Youtube Me Search Hone Par Aapka Channel Jaldi Se Search Ke Top Me Aa Sake.
4 – Video Upload
Jab Aap Apna Video Channel Bana Lete To Aap Theme, Logo Image Laga Sakte Hai Jisse Aapka Chanel Dikhne Me Sundar Lage Jisse Video Dekhne Wale Aapke Channel Par Baar Baar Aaye . Iske Bad Aap Ke Pas Jo Bhi Video Hai Us Video Ka Heading Me Naam Bharkar Video Ko Upload Kar De. Youtube Par Video Upload Hone Ke Baad Apka Video Online Dekh Skte Hai.
5 – Subscribe & Share
Jab Aap Shuru Shuru Me Video Upload Karte Hai To Apke Video Ko Pata Nhi Chlata Hai Jiske Liye Aapko Upload Video Ke Share Option Me Jaakar Link Copy Karke Logo Ke Bich Social Media Jaise Whatsapp, Facebook, Twitter, Google Plus Par Share Kar Skte Hai
Jisse Logo Ko Aapke Video Ke Baare Me Pata Chalega Aur Fir Iske Baad Agar Aapko Logo Ko Video Pasand Aata Hai To Aapke Channel Ke Subscribe Button Ko Log Subcribe Karna Shuru Kar Dete Hai Jisse Aapke Video Ko Dekhne Walo Ko Naye Video Upload Ka Notification Turat Mil Jata Hai Aur Jis Tarah Aapke Video Ke View Badhne Lagte Hai Jo Ki Aapke Success Ki Pahli Shuruaat Hai.
Talent Support:-
Youtube Par Video Upload Krne Se Mtlb Yah Nahi Hai Ki Aap Ko Kahi Se Koi Dekhi Hui Koi Video Mil Gaya Aur Aur Aap Use Turant Youtube Par Upload Karke Paise Kamane Lage To Yah Impossible Hai Kyuki Youtube Kabhi Bhi Copyright Wale Video Ko Koi Agar Fir Se Copy Karke Upload Karta Hai To Use Paise Kamane Ke Liye Google Adsene Ka Approval Kabhi Nahi Milta Hai Ulta Apke Channel Ko Block Kar Diya Jata Hai So Isse Bachne Ke Liye Khud Se Video Banaye Jiske Liye Aapko Khud Ka Talent Hona Jaruri Hai.
YouTube और Blogging Online Earning Option
Youtube Ke Liye Video Banane Ke Liye Aap Chahe Khud Apna Kisi Topic Ki Jankari Voice Ke Sath Bolakr Live Video Bana Skte Hai Aur Ise Youtube Par Upload Bhi Kar Skte Hai Jo Ki Logo Ko Aapke Ish Video Se Best Information Milti Hai To Yah Aapko Popular Hone Ke Liye Accha Hai
Youtube Se Paise Kamane Ke Tips In Hindi
Ab Aapka Jab Youtube Channel Aur Video Online Upload Ho Chukka Hai To Ab Aap Aage Youtube Se Video Se Paise Kama Skate Hai Iske Liye Aap In Rule Ko Jarur Fallow Kare.
1 – Aap Apna Khud Ka Video Banaye Jiske Liye Aap Mobile App, Camara Ka Sahara Le Sakte Hai Yaa Live Scene Ko Record Karke Video Bana Skte Hai.
2 – Koi Bhi Video Upload Karne Se Pahle Khud Se Confirm Kar Le Ki Aapka Video Pahle Se Kahi Se Download To Nahi Hua Hai Yaani Google Adsense Ke Rule Ke Anusaar Aapka Video Copyrights Ke Antargat To Nahi Aata Hai.
3 – Yadi Aapka Video Copyrights Wala Upload Hai To Youtube Ke Liye Adesense Kabhi Bhi Adsense Approval Nahi Deta Hai So In Bato Ka Aapko Jarur Khyal Rakhna Chahiye.
4 – Jab Aapke Youtube Channel Ke 10000 View Ho Jate Hai To Aap Apne Youtube Account Me Jaakr Monetization Option Dwara Google Adsense Ke Liye Apply Kar Skte Hai Jiske Baad Google Adsense Aapke Channel Ko Review Karega Aur Sabkuch Sahi Hone Ke Baad Aapke Channel Ke Liye Google Adsense Ka Approval Mil Jaayega.
5 – Google Adsense Approval Ka Milna Sabse Badi Khushi Ki Baat Hai Iske Bad Apke Video Ke Sath Ads Bhi Dikhne Shuru Ho Jaayege Jo Ki Aapki Income Ka Aadhar Banega.
Youtube Se Kitna Paise Kama Sakte Hai Full Details In Hindi
Aap Sabhi Yah Jarur Jaanna Chahte Hai Ki Youtube Se Kitna Paise Kama Sakte Hai To Yah Jaan Le Ki Yadi Aap Ke Youtube Channel Ke Video Google Adsese Ko Fallow Nahi Karte Hai To Aap Kuch Bhi Nhi Kama Skte Hai.
Top Hindi Blog Website List टॉप हिन्दी ब्लॉग वेबसाइट लिस्ट
Aur Yadi Aapke Youtube Channel Ke Video Google Adsense Ko Fallow Karte Hai Aur Aapke Video Par Lakho View Bhi Hote Hai To Nischit Hi Aap Lakho Rupye Kama Skte Hai . So In Sabke Liye Sahi Disha Me Sahi Mehnat Krna Jaruri Hai . To Der Kis Baat Ki Agar Aap Me Talent Me To Aap Bhi Youtube Se Paise Kama Sakte Hai.
Youtube Se Kamaye Paise Hame Kaise Milega
To Aap Jab Youtube Par Google Adsense Ke Liye Apply Karte Hai Aur Adsense Approve Ho Jaane Ke Baad Aapko Apna Account Details Dena Padta Hai Fir Aapko Google Adsense Se Monthly Payment Di Jaati Hai Is Prakar Aap Google Adsense Se Direct Apne Account Me Paise Prapt Kar Skte Hai Jo Ki Bahut Hi Aasan Hai.
Conclusion –
To Sabse Phle Aap Sabhi Jaan Le Ki Yah Besthindihelp.Com Par Hmara Sbse Phla Post Hai To Aap Sabko Yah Post Youtube Se Paise Kaise Kamaye Acha Laga To Ishe Share Krna Na Bhule. Aur Koi Isse Judi Janakri Puchna Chahte Hai To Hmse Comment Box Me Jarur Puch Skte Hai.