HomeGeneral KnowledgeFacebook Account Safety Tips Hindi | फेसबुक अकाउंट डाटा को सुरक्षित कैसे...

Facebook Account Safety Tips Hindi | फेसबुक अकाउंट डाटा को सुरक्षित कैसे रखे

Facebook Se Apne Personal Data Privacy Details Ko Kaise Secure Rakhe | Facebook Se Privacy Kaise Secure Rakhe In Hindi

फेसबुक अकाउंट को सिक्योर और डाटा सुरक्षित कैसे रखे

Facebook Aajkal Har Yuva Ke Aadto Me Shumar Ho Gya Hai Log Pahle Subhah Uthte The To Pahle Apne God Ko Yaad Karte The Lekin Wakt Ke Badlate Daur Internet Ke Badhte Ke Kaaran Sabke Life Me Ek Bahut Bada Changing Ka Karan Ban Gya Hai Aur Wah Hai Internet Ke Jariye Conncet Hone Wale Social Media Jisme Facebook Par Poore Duniya Me Sabse Jyada Dekha Jane Wala Social Website Hai.

Aur Aajkal Isi Social Media Ke Data Leak Hone Ki Bat Poore Media Me Joro Se Faili Hui Hai Aise Me Jo Bhi Internet User Hai We Kahi Na Kahi Facebook User Bhi Jarur Honge Aise Me Ab Sawal Uthta Hai Ki Kaise Facebook Ke Jariye Hmare Important Personal Data Kisi Aur Ke Hatho Share Ho Sakta Hai To Chaliye Jante Hai Ki Kaise Facebook Se Apne Personal Data Ko Secure Rakh Sakte Hai.

To Sabe Pahle Chaliye Jante Hai Ki Facebook Par Hmare Personal Data Kya Hai.

फेसबुक पर निजी डाटा क्या है

Facebook Par Personal Data Details In Hindi

Facebook Account Safety Tips HindiWaise To Aaj Ke Time Me Logo Se Aapas Me Judne Ka Facebook Ek Bahut Bada Manch Hai Aise Me Jab Aap Kisi Se Judete Hai To Fir Unse Aapke Bich Jankariyo Ka Aadan Pradan Bhi Hota Hai Aise Me Ham Apne Profile Me Kuch Aise Bhi Details Rakhte Hai,

Jo Hamari Life Se Judi Hoti Hai Ya Kahe We Di Gayi Janakri 100% True Bhi Hoti Hai To Aise Me Sochiye Agar Ye Janakari Kisi Galat Hatho Me Chala Jaye To Kuch Bhi Ho Skata Hai To Chlaiye Jante Jante Hai Ki Aakhir Ye Personal Data Kaun Kaun Se Hai.

1 – Facebook Par Account Ya To Mobile Number Ke Jariye Banaya Jata Hai Ya Fir Email Id Ke Dawara Isliye Mobile Number Se Sidhe Hmase Koi Direct Contact Kar Sakta Hai Isliye Ise Secure Rakhna Jaruri Hota Hai.

2 – Facebook Par Personal Details Like Date Of Birth, Relation, Location, Current Location, Private Ya Niji Jivan Ke Foto Etc Sabhi Personal Data Ke Adar Aate Hai.

3 – Facebook Par Kabhi Bhi Anjan Logo Se Dosti To Krna Thik Hai Lekin Jaladbaji Me Kuch Bhi Personal Share Krna Thik Nhi Hai.

फेसबुक पर पर्सनल डाटा सुरक्षित कैसे रखे

Facebook Par Apne Personal Data Privacy Details Ko Kaise Secure Rakhe

To Chaliye Jante Hai Ki Kaise Facebook Par Apne Personal Data Privacy Details Ko Kaise Secure Rakhe

1 – Facebook Account Baante Time Jo Phone Number Ya Email Use Karte Hai Use Kabhi Bhi Publically Show Naa Kare Iske Liye Aap Facebbok Ke Account Ke Setting Me Jaakar Hide Kar De Ya Only Show Me Wala Option Hi Rakhe.

2 – Facebook Par Ho Sakta Hai Ki Aapke Birthday Date Ya Location Se Milte Julte Kahi Aur Password Bhi Use Karte Ho To Aise Me Kabhi Bhi Koi Janakri Ya Password Inse Milte Julte Nahi Rakhna Chahiye.

3 – Facebook Par Aksar Kayi Saare Option Hote Hai Jinme Education, Current Location Aur Bahut Sari Information Update Kar Skte Hai Aise Me Aap In Information Ko Security Ke Taur Par Kabhi Bhi Publically Show Naa Kare Aur Ho Sake To Inme Kam Se Kam Jankari Dena Chahiye Aur Yadi Logo Ke Bich Dikhana Hi Chahte Hai Only Friend Option Tak Hi Show Karna Thik Hota Hai,

4 – Facebook Par Current Status Me Bhi Apne Important Jaankari Share Krne Se Bachna Chahiye

5 – Facebook Par Aajkal Aise Automatic Apps Wale Add Bhi Bahut Aate Hai Jisme Kayi Tarah Ke Interesting Janakari Hoti Hai Jaise Pichle Janm Me Aap Kya The, Apka Best Friend Kaun Hai, Aapki Death Kab Hongi, Aapke Liye Lucky Kaun Hai Aise Tamam Janakari Paane Ke Liye Aapko Us Diye Link Ki Sahayta Se Aapko Diye Link Ke Website Par Jana Hota Hai Aise Me Jaise Hi Aap Us Link Par Krte Hai,

To Aapko Facebook Login Ka Option Hota Hai Aur Jaise Hi Apne Facebook Account Ke Jariye Uspar Click Karte Hai Apki Facebook Ki Sari Details Ko We App Check Karne Lgte Hai Fir Aapke Facebook Account Ke Hisab Se Result Show Hone Lgte Hai.

Dekhne Me Ye To Bahut Hi Interesting Hote Hai Lekin Facebook Login Ke Kaaran Apke Personal Data Ko Un App Ke Jariye Read Kiya Ja Sakta Hai Jisse Aapke Facebook Account Ki Security Ko Nuksan Bhi Ho Skta Hai Aise Me Aise Kisi Bhi Uknown Link Par Click Karne Se Bache.

5 – Facebook Par Kayi Baa Raise Game App Bhi Show Hote Hai Jo Play Krne Ke Liye Friend Ko Invite Krna Hota Hai Aise Me Jab Us App Par Click Karte Hai To Ho Skta Hai Ki Aapke Facebook Account Ke Details Transfer Ho Jaye  To Aise Me Unknown App Se Game Play Krne Se Bachna Chahiye.

6 – Facebook Account Ko Secure Rakhne Ke Liye Ham Chahe To Apna Mobile Number Se Bhi Update Rakh Skte Hai Mobile Number Update Hone Se Jaise Hi Aapka Password Block Ho Jata Hai To Mobile Par Bheje Gaye OTP (One Time Password) Ke Jariye Fir Se Aap Apne Facebook Account Ko Activate Kar Skte Hai.

7 – Jab Koi Apko Apne Foto Ke Sath Tag Karta Hai To Hmae Ish Bat Ka Dhyan Rakhna Chahiye Ki Wah Post Aaapke Liye Anukul Hai Ya Nhi Yadi Nhi Hai Aapko Us Post Me Jaakar Remove Tag Ke Jariye Khud Ko Us Post Se Alag Kar Lena Chahiye.

8 – Facebook Account Setting Aur Security Me Massanger Ka Bhi Baht Bada Role Hota Hai Ho Skta Hai Ho Skata Hai Ki Aise Log Jo Aapko Friendship Direct Option Se Nahi Bana Paa Rahe To Aapke Liye Massanger Ka Use Krte Ho Aise Me Aapko Kisi Unknown Person Se Chat Karne Se Pahle Uski Profile Check Kar Lena Chahiye Aur Jab Sahi Lage Tabhi Aapko Chat Karna Chahiye Jisse Hmari Privacy Bani Rahti Hai.

9 – Facebook Jaise Social Media Par Niji Jivan Ki Aisi Jankari Bhi Share Krne Se Bachna Chahiye Jiska Aapke Liye Life Me Bahut Bada Role Ho.

10 – Facebook Jaise Internet Social Media Par Active Rahna To Thik Hai Lekin Apne Life Ke Har Activity Ko Yaha Update Karna Thik Nhi Hota Hai Aisa Karne Se Khud Ko Bachana Chahiye.

To Aap Sabko Yah Post Facebook Account Ko Kaise Safe Rakhe Full Details In Hindi Ke Jariye Di Gayi Jankari Ke Maadyam Se Aap Bhi Apne Ko Social Media Par Secure Rakh Skte Hai. Isliye Security Aur Privacy Ke Liye Hme In Bato Ka Khyal Jarur Krna Chahiye.

Final Words :-

To Aap Sabko Yah Post Facebook Account Ko Kaise Safe Rakhe Full Details In Hindi Kaisa Laga Comment Box Me Jarur Bataye Aur Logo Ke Bich Share Karna Na Bhule.

Share करे
RELATED ARTICLES

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here