HomeBloggingGoogle Adsense Account Approval से जुड़े महत्वपूर्ण 25 प्रश्न और उत्तर

Google Adsense Account Approval से जुड़े महत्वपूर्ण 25 प्रश्न और उत्तर

Google Adsense Account Approval Related 25 Important Question Answer In Hindi

Google Adsense Account Approve कैसे कराये | Adsense Account Approval से जुड़े प्रश्न उत्तर

Aap Apna Blog Shuru Karne Jaa Rahe Hai Ya Aapne Apna Blog Ya Website Bana Liya Hai To Kahi Na Kahi Aapko Yah Baat Jarur Pata Chlata Hai Ki Blog Se Bhi Paise Kamaye Ja Sakte Hai Aur Iska Ek Bahtarin Jariya Hai Google Adsense.. Aise Me Har Blog Likhne Wale Blogger Ke Man Me Yahi Spana Hota Hai Ki Uska Blog Bhi Google Adsense Se Approved Ho Jaye Jiske Liye Wah Har Prayash Bhi Karta Hai.

Aise Me Jo Naye Blogger Hote Hai Unhe Adsense Ke Bare Me Pata Nahi Hota Hai To Logo Ke Dwara Di Gayi Janakariyo Se Use Aise Lagne Lagta Hai Ki Google Adsense Account Approved Karna Bahut Muskil Kam Hai Lekin Ham Aaapko Bata De Ki Google Adsense Account Approved Karana Utna Kathin Bhi Nahi Hai Jitna Ise Samajh Liya Jata Hai. Yadi Sahi Mayno Me Google Adsense Account Approved Ke Rule Ko Fallow Kiya Jay To Aapka Blog Bhi Google Adsense Account  Ke Liye Jaldi Se Approved Ho Jata Hai.

To Inhi Sab Bato Ko Dhyan Me Rakhte Aaj Hmane Is Post Ke Jariye Google Adsense Account Approved Se Jude Kuch Important Question Answer Dene Jaa Rahe Jo Har Blogger Ke Man Me Kahi Na Kahi Jarur Aate Hai.

Google Adsense Account Approved से जुड़े महत्वपूर्ण प्रश्न और उनके उत्तर

Google Adsense Se Jude 25 Mahatvapurn Sawal Jawab | Google Adsense Related 25 Important Question Answer In Hindi

adsense account approved

Question: – 1 Google Adsense Kya Hai ?

Answer: – Google Adsense Google Ka Ek Platform Hai Jiske Jariye Aap Apne Blog Ke Liye Advertisement Laga Sakte Hai Jiske Badle Google Ads Click Ke Badle Blogger Ko  Paise Deti Hai.

Question: -2 Google Adsense Apply Karne Ke Liye Kya Hona Chahiye ?

Answer:-  Google Adsense Apply Karne Ke Liye Aapka Blog Ya Youtube Channel Hona Chahiye Yaani Google Adsense Ke Jariye Blog, Website Aur Youtube Me Ads Laga Sakte Hai.

Question: -3 Google Adsense Account Kaise Bana Sakte Hai ?

Answer:- Google Adsense Account Banane Ke Liye Apka Gmail Account Hona Chahiye Yadi Nahi Hai Sabse Pahle Aap Ek Gmail Account Bana Le Fir Google Me Search Kariye Google Adsense Open Kare Aur Fir Sign Up Ke Jariye Google Adsense Me Aap Apna Khud Ka Account Bana Sakte Hai.

Question: – 4 Kya Google Ki Free Service Blogger Ke Liye Bhi Google Adsense Apply Kar Skte Hai ?

Answer:- Ji Ha, Aap Blogger Yani Blog Spot Ke Jariye Bhi Google Adsense Ke Liye Apply Kar Skte Hai Aur Aap Google Me Search Kar Skte Hai Aise Bahut Se Blogger Mil Jayege Jo Ki Google Ki Free Service Blog Spot Se Bhi Paise Kama Rahe Hai.

Question: – 5 Abhi Aapne Blog Spot Google Ki Free Service Kaha, Ye Kya Hai ?

Answer:- Jaisa Ki Aap Jante Hai Ki Blog Ya Website Bante Hai To Aapko Website Banane Ke Liye Domain Aur Hosting Ke Paise Dene Us Company Ko Dene Padte Hai Jo Yah Service Deti Hai Jabki Google Ke Blogspot Se Aap Free Me Apna Website Ya Blog Bana Sakte Hai , Isme Bas Itna Hi Fark Hota Hai Ki Aapke Domain Name Ke Sath Subdomain Blogspot.Com Juda Hua Hota Hai.

Question: – 6 Google Adsense Ke Liye Kab Apply Karna Chahiye ?

Answer:- Blog Ya Website Ke Liye Aap Kabhi Bhi Google Adsense Account Approval Ke Liye Apply Kar Skte Hai Lekin Hame Is Baat Ka Bhi Dhyan Rakhna Chahiye Aapke Blog Me Kam Se Kam 15 Se 20 To Hone Hi Chahiye.

Question: – 7 Google Adsense Apply Ke Liye Blog Me Kya Kya Hona Chahiye ?

Answer:- Yah Bahut Hi Important Question Hai. Google Adsense Apply Karne Se Pahle Hmare Blog Me About Us, Contact Us, Privacy Policy Jaise Import Page Avasy Hone Chahiye Jisse Aapke, Apke Blog Ke Bare Me Readers Aur Google Ko Pata Chlata Hai.

Question: – 8 Google Adsense Account Approved Hone Ke Liye Kitne Pageview Hone Chahiye ?

Answer:- Google Adsense Approved Hone Me Pageview Hone Ka Aham Role Hota Hai Ads Ka Matlb Hi Hota Hai Jyada Se Jyada Log Ise Dekhe To Aise Me Yadi Aapke Blog Par Daily 200 Se 300 Pageview Ho Rahe Hai To Aapka Blog Google Adsense Approved Ho Jayega Lekin Ye Ye Pageview Lagatar Kam Se Kam 20 Dino Se Hone Jarur Chahiye.

Question: – 9 Google Adsense Account Process Kya Hai ?

Answer:- Jab Aap Blog Bante Hai To Kam Se Kam Apka Blog 2 Se 3 Mahine Ka Ho Gya Hai To Aap Google Adsense Aasani Se Approved Kara Skte Hai Iske Liye Sabse Phle Aap Google Adsense Account Banakar Saari Details Ke Sath Apne Blog Ya Website Ka Link Jarur Fill Kare Tabhi Google Adsense Apke Blog Ka Review Karta Hai Aur Fir Ekbar Google Adsense Ke Liye Apply Ho Jane Ke Baad Ke Aapko Ek Email Google Adsense Ke Dwara Bheja Jata Hai,

Jisme Google Adsense Aapke Blog Ko Review Krne Ka Notice Deta Hai Iske Baad Kam Se Kam 1 Hafte Tak Wait Karne Ke Bad Yadi Aapka Blog Ya Website Google Adsense Ke Rule Ke Ausar Hai To Account Approved And Activated Ka Confirmation Ka Email Aa Jayega. Aur Yadi Aapke Blog Me Koi Kami Hai Jo Google Adsense Rule Ko Fallow Nahi Karta Hai Use Sahi Krne Ka Notice Bheja Jata Hai Jise Aap Turnat Sahi Karke Fir Se Apply Kar De Fir Dobara Google Adsense Check Karne Ke Bad Aapko Google Adsense Account Approval Ka Confirm Mail Aa Jata Hai.

Question: – 10 Agar Notice Ke Baad Bhi Google Adsense Account Approved Na Ho To Kya Kare ?

Answer:-  Sabse Pahle Isko Lekar Ghabrane Ya Chinta Krne Ki Jarurat Nahi Hai Sabse Pahle Aap Google Adsense Dwara Mail Ko Khub Acche Tarah Se Padhe Aur Samjhe Aur Samajh Me Aa Jane Ke Bad Notice Ke Anusar Apne Blog Ya Website Me Change Kare Fir Sabkuch Sahi Karne Ke Bad Fir Se Google Adsense Ke Liye Apply Kar De To Pakaa Apka Account Approved Ho Jayega Aur Yadi Uske Baad Bhi Koi Kami Google Adsense Ko Dikhayi Deta Hai To Apko Fir Se Notice Bheja Jata Hai.

Question: – 11 Google Adsense Approved Hone Ke Baad Kya Karna Chahiye ?

Answer:- Sabse Pahle Aisi Sthiti Me Apko Ek Google Adsense Se Email Aata Hai Jisme Google Adsense Account Approved Ka Conformation Diya Jata Hai Yani Ab Apke Blog Ke Liye Google Adsense Approved Ho Chukka Hai Ab Aap Apne Blog Ya Website Me Google Adsense Ke My Ads Option Ke Jariye Ads Code Generate Kakke Ise Copy Karke Aap Blog Ke Widgets Text Me Paste Kare,

Fir Thodi Der Bad Aapka Google Adsense Ads Aapke Blog Par Show Hone Lagta Hai Aur Manchahe Jagah Ads Place Karne Ke Liye Plugin Ka Bhi Use Kar Sakte Hai Aur Ads Show Hone Ke Baad Ab Apka Earning Start Ho Jata Hai

Question: – 12 Google Adsense Account Approved Ke Liye Sabse Jaruri Bat Kya Hai ?

Answer:- Google Adsense Account Approval Ke Liye Shuru Har Naya Blogger Kahi Na Kahi Ye Galti Jarur Karte Hai Ki We Dusre Website Ke Post Ko Copy Karte Hai Ya Copy Karke Usme Edit Karke Post Karte Hai Jo Ki Google Adsense Ke Liye Ya Kisi Bhi Earning Dene Wali Advertise Dene Company Is Bat Ko Disallow Karti Hai Isliye Kabhi Bhi Bhulakar Koi Post Me Copy Paste Nahi Karna Chahiye.

Question: – 13 Google Adsense Account Approved Hone Ke Bad Address Verify Kaise Kiya Jata Hai ?

Answer:- Jaise Hi Apka Google Adsense Account Approved Hota Hai Aur Aapki Earning USD 10.00 Ho Jati Hai To Aapke Address Ko Verify Karne Ke Liye Google Adsense Ek Aapke Diye Hue Address Par Post Card Dwara Ek PIN Bhejta Hai Jise Milne Ke Bad Aap Apne Google Adsense Account Fill Karne Ke Bad Aapka Ish Tarah Address Bhi Verify Ho Jata Hai.

Question: – 14 Yadi Address Verify Ke Liye PIN Sahi Address Par Na Mile To Kya Kare ?

Answer:- Google Adsense Apko Adsense Verify Karne Ke Liye 3 Baar Pin Bhej Sakta Hai So Aap Diye Pate To Sahi Se Check Kar Le Aur Fir Bhi PIN Nhi Milta Hai To Aap Apne Adhar Card, Pan Card Se Address Verify Kara Sakte Hai.

Question: – 15 Google Adsense Se First Payment Kitne Earing Ke Bad Milta Hai ?

Answer:- Google Adsense First Ya Kisi Bhi Time Ka Payment Tabhi Karta Hai Jab Aapke Account Me 100 USD Ho Jate Hai Lekin Hme Is Bat Ka Dhyan Rkhna Chahiye Ye 100 USD Month Ke Last Din Complete Hone Chahiye.

Question: – 16 Google Adsense Kitne Tarikh Ko Payement Karta Hai ?

Answer:- Google Adsense Har Mahine Ki 22 Tarikh Ko Payment Karta Hai.

Question: -17 Kya Google Adsense Ke Sath Other Company Ka Ads Laga Sakte Hai ?

Answer:- Ji Haa Aap Google Adsense Ke Sath Dusre Advertise Company Ka Ads Laga Skate Hai Bas Is Baat Ka Dhyan Rakhna Chahiye Koi Bhi Other Company Ke Ads Se Google Adsense Ke Rule Prabhavit Nahi Ho Yaani Apko Har Halat Me Google Adsense Ke Sabhi Rule Ko Acche Se Fallow Karne Padte Hai.

Question: – 18 Kya 1 Google Adsense Ke Ads Apne Dusre Blog Me Bhi Laga Sakte Hai ?

Answer:- Ha Laga Sakte Hai Lekin Aapka Dusra Blog Bhi Adsense Ke Sabhi Rule Ko 100% Fallo Karta Hai Jaise Hi Aap Apne Google Adsense Account Me Ush Blog Ka Domain Add Karte Hai Jiske Baad Google Adsense Ush Blog Ko Bhi Review Karta Hai Jiske Baad Aapke Ads Show Hone Shuru Ho Jate Hai.

Question: – 19 Google Adsense Kis Prakar Ke Blog Ko Allow Nahi Karta Hai ?

Answer:- Yadi Apka Blog Hacking Se Related Hai Ya Porn Site Hai To Uspar Bhul Se Bhi Adsense Ke Ads Mat Lagayiye Quki Isse Aapka Google Adsense Account Ban Ho Sakta Hai.

Question: – 20 Google Adsense Payment Ke Liye Kya Kya Hoan Jaruri Hai ?

Answer:-  Google Adsense Se Payment Ke Liye Apne Jis Naam Se Apna Account Banaya Hai Usi Naam Se Bank Account Hona Bhi Anivary Hai, Jiske Liye Aapko Apne Bank Ka IFSC Code Aur Swift Code Hona Jaruri Hai Jiska Pata Aap Apne Bank Branch Ke Jariye Kar Sakte Hai.

Question: – 21 Google Adsense Se Kitne Paise Kama Sakte Hai ?

Answer:- Google Adsense Se Kitne Paise Kamaye Ja Skate Hai Ye Apke Blog Ke Pageview Par Depend Karta Hai , Yadi Aapke Blog Par Lakho Visitor Aa Rahe Hai To Aapko Hi Fayda Hone Wala Hai Isliye Google Adsense Se Aap Hajaro Me Bhi Kama Sakte Hai To Lakho Me Bhi Kama Sakte Hai Jiski Koi Limit Nahi Hai.

Question: – 22 Kya Mai Apne Naam Se 2 Google Adsense Khol Sakta Hu.

Answer:- Ji Nahi, Aa Paisa Nahi Kar Sakte Hai Yadi Aisa Karte Hai Jaise Hi Aapki Saari Janakri Google Se Match Hota Hai Apke Account Ko Hmesa Ke Liye Band Kar Diya Ja Sakta Hai.

Question: – 23 Google Adsense  Ki Earning Badhayi Ja Sakti Hai ?

Answer:- Google Adsense Account Me Low CPC Ads Ko Block Karke Google Adsense Ki Earing Badhayi Ja Sakti Hai.

Question: -24 Aajkal Google Adsense Par Invalid Click Bahut Jayada Badh Gye Hai Isse Kaise Bachaye ?

Answer:- Google Adsense Account Safe Rakhne Ke Liye Hme Apne Ads Ko Invalid Click Se Bachane Ke Liye Aise Plugin Use Kar Skte Hai Jisme Kisi Bhi User Ko 1 Din Me Ek Limit Milta Hai Jiske Baad Vah Apke Blog Ke Ads Ko Click Nahi Kar Skata Hai Aur Kabhi Bhi Earning Karne Ke Liye Khud Se Click Nahi Karna Chahiye Jo Ki Aisa Bar Bar Karne Se Apka Account Bad Bhi Ho Skata Hai.

Question: – 25 Google Adsense Block Hone Par Use Fir Se Kaise Activate Kar Skte Hai ?

Answer:- Jab Kabhi Bhi Apka Google Adsense Account Band Kiya Jata Hai To Google Adsense Ki Taraf Se Apko Email Ke Jariye Notice Bhi Bheja Jata Hai So Yadi Aap Notice Ko Sahi Se Fallow Karte Hai To Aap Fir Se Apne Band Google Adsense Account Ko Activate Kar Skte Hai.

Final Word : –

To Aise Me Hmane Google Adsense Se Jude Kuch Mahatavpurn Sawalo Ka Jawab Is Post Ke Jariye Dene Ki Koshish Kiya, Yadi Aapko Yah Post Se Related Ko Sawal Puchna Chahte Hai To Comment Box Me Jarur Puche Aur Ish Post Ko Share Krna Naa Bhule……

Share करे
RELATED ARTICLES

4 COMMENTS

  1. Bhai mujhe ye bataye ki kya blogger men adsense aproved hone ke baad , agar ham WordPress pr sift kar gye. Qki bloger par ad limit lagbhag six month se lg gaya thi. Jiske karan maine post wordpress par sift kar diya. But waha Adsense approval nahi mil raha hai. Plz meri help karen

    • Krishnawati agar apka domain same hai to koi adsense ke approval ki jarurat nahi hoti hai. agar domain change kar diya hai to fir se adsense ke liye approval lena padega..

  2. Sir aapka bahut bahut dhanyavad google adsense approval tips ke baare mein batane ke liye, mein aapka regular visitor hoon aur aapke articles roj padhta hoon yahan tak ki mere doston ko bhi share karta hoon, aapka content bahut achha hai sir “keep it up”.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here