BestHindiHelp.Com

Best Hindi Blog Website for Blogging, SEO, Internet, Technology, Tech Tips, Job Exam Preparation, Exam Paper, Career, Job & More info

Blogging SEO Tips in Hindi

Google Adsense Account Approval कैसे कराये

How to Approve Google Adsense Account with Blogger in Hindi | Google Adsense Approve Kaise Karaye

Google Adsense Approval कैसे कराये | Blogger Google Adsense Approval Trick in Hindi

Adsense Approve Kaise Kare Aisa Sawal Un Sabhi Naye Blog Start Karne Walo Ke Man Me Jarur Aata Hai. Yaani Jb Koi Blogger Blog Start Karta Hai To Uske Man Me Kahi Na Kahi Online Income Karne Ya Online Paise Kamane Ke Liye Jarur Sochata Hai To Ek Blogger Ke Liye Online Paise Kamane Ke Liye Google Adsense Ek Best Jariya Hai Jiske Dwara Blog Likhne Wala Blogger Google Adsense Se Paise Kama Sakta Hai.

Lekin Kya Lagta Hai Ki Aajkal To Har Koi Free Ya Paid Blog Bahut Hi Aasaani Se Bana Lete Hai Lekin Jab Baat Aati Hai Google Adsense Approve Karane Ke Liye Kisi Ko Google Adsense Approve Karne Me 6 Month Se 1 Saal Tak Lag Jate Hai To Koi Kuch Dino Me Uska Blog Google Adsense Account Approve Ho Jata Hai To Aise Me Blogger Ke Man Me Yahi Sawal Aata Hai Ki Are Maine To Itne Saare Post Bhi Likhe Hai Aur Itne Jyada Pageview Bhi Ho Rahe Hai Fir Mera Blog Adsense Account Approve Kyo Nahi Ho Raha Hai.

To Aise Me New Blogger Google Adsense Approval Ko Lekar Paresan Ho Jata Hai Aur Hatasha Me To Kayi Log Blogging Karna Bhi Chhod Dete Hai Yaani Itna Mehnat Karne Ke Baad Sabkuch 0 Ho Jata Hai Aur Isme Time Waist Hua Wo Alag…..

To Aise Me Aaj Aap Sabko Google Se Adsense Account Approve Karane Ke Bare Me Kuch Tricks Batane Jaa Rahe Hai Jiski Help Aap Bhi Apne Blog Par Google Adsense Ke Ads Se Online Income Kar Sakte Hai.

Blogger Adsense approval के बेस्ट बेस्ट ट्रिक 

Adsense Account Approve Karne Ke Best Tips In Hindi | Google Adsense Kaise Kare Tricks And Tips In Hindi

blogger adsense approval

Aap Blog Likhte Hai Aur Khud Ka Website Chala Rahe To Nischit Hi Aapne Google Adsense Ka Naam Suna Hi Honga, Chaliye Agar Chhote Shabdo Me Ham Apko Batate Hai Google Adsense Ek Aisa Online Paisa Kamane Ka Platform Hai Jiske Ads Show Ke Jariye Ham Apne Blog Se Online Income Kar Sakte Hai.

To Aise Me Apke Man Me Yah Sawal Uth Raha Honga Ki Aakhiar Google Adsense Account Kaise Approve Kare To Chaliye Jante Hai Ki Kaise In Simple Tariko Se Google Adsense Kaise Approve Kare.

Adsense Account Approve Ke Liye In Baato Ko Jarur Dhayan Me Rakhe.

Adsense Approve Tips – 1 About Us Page 

Blogger adsense approval के लिए About Us Page पेज जरुर हो

Apne Blog Ya Website Ke Adsense Account Approval Ke Liye Apne Blog Par About Us Ka Page Jarur Banaye Aur About Us Me Jo Bhi Likhe Wo Aapke Aur Apke Blog Ke Bare Me 100% True Hona Chahiye Jisse Google Aur Aapke Readers Kin Ajar Me Aapki Ek Acchi Image Bhi Banti Hai Aur Jo Koi Aapke Blog Ko Visit Karega Aur Apke Bare Aur Apke Blog Ke Bare Me Bhi Jannaa Jarur Chahta Honga Aise Me Yah Information Kafi Upyogi Siddh Hogi Jisse Adsense Ke Liye Bhi Aapk Jladi Se Account Approve Kar Skte Hai

Adsense Approve Tips – 2 Privacy Policy Page

Blogger adsense approval के लिए प्राइवेसी पालिसी पेज जरुर बनाये

Kisi Bhi Blog Ya Website Ke Adsense Account Approval Ke Liye Yah Bahut Bada Factor Hai, Kisi Bhi Blog Ya Website Par Privacy Policy Ke Jariye Blog Visit Karne Wale Ki Janakri Aur Usse Judi Koi Bhi Online Janakari Poori Tarah Se Blog Ke Liye Gopniy Rakha Jana Chahiye Jisse Ki Kisi Bhi Visitor Jab Aapke Blog Ko Visit Karte Hai To Jaise Me Yadi Wah Readers Aapke Blog Ko Email Ke Jariye Subscribe Karta Hai To Privacy Policy Ke Jariye Uski Janakri Usi Blog Tak Hi Simit Rahana Chahiye.

Jisse Ki Yadi Kisi Bhi Blog Ya Website Par Privacy Policy Ka Jikra Kiya Rahta Hai To Wah Blog Google Ki Najro Me Best Mana Jata Hai Jisse Ki Google Adsense Account Approve Me Aasani Hoti Hai.

Adsense Approve Tips – 3 Contact Us

Blogger adsense approval के लिए कांटेक्ट अस पेज जरुर रखे

Kisi Bhi Blog Ke Liye Yadi Google Adsense Account Approval Ke Liye Apply Karta Hai To Contact Us Page Bhi Bahut Mayne Rakhta Hai. Yadi Aap Apne Blog Par Contact Us Ke Jariye Apne Readers Se Jude Hue Hai To Yah Google Ki Najro Me Adsense Account Approval Ke Liye Accha Mana Jata Hai.

Isliye Aap Bhi Apne Blog Ke Liye Adsense Apply Kar Rahe Hai To Contact Us Ka Page Apne Blog Par Jarur Rakhe.

Adsense Approve Tips – 4 Copyrights Content Disallow

Copyrights Content से बचे

Aksar Dekha Jata Hai Ki Jab Koi Naya Blog Shuru Karta Hai To Shuru Shuru Me Aise Naye Blogger Sabse Badi Galti Karte Hai Wo Hai Copy Paste. Yadi Aap Bhi Blogger Hai To Aisi Galti Kabhi Naa Kare Kyuki Aisa Karne Se Aap Apne Blog Ya Website Par Lakho Post To Likh Sakte Hai Lekin Use Padhne Wala Koi Nahi Milega.

Kyuki Aisa Krne Wale Blog Google Ki Najro Me Pakda Jata Hai Jisse Ki Us Blog Ki Ranking Ekdam Niche Chali Jati Hai Aur Koi Bhi Post Search Engine Me Top Par Kabhi Nahi Aata Hai Aur Fir Apke Blog Ya Website Ko Ban Bhi Kiya Jaa Skata Hai Jo Ki Aapke Saare Kiye Gaye Mehnat Paani Me Mil Skata Hai.

To Yadi Aap Online Paisa Kamane Ki Sonch Rahe Hai To Offline Life Ki Tarah Online Blog Par Bhi Poori Tarah Se Aapko Imandari Bartna Honga Yadi Aa Paisa Karte Hai To Nischit Hi Aapke Blog Par Aapke Khud Ke Vichar Se Post Likhe Jaayege Jo Ki Kahi Nahi Padhne Ko Milega Aise Me Aapke Blog Ki Popularity Bhi Badhegi Aur Google Search Engine Me Aapke Post Bhi Top Par Aayege Jisse Aapko Hi Fayda Hoe Wala Hai.

Aur Yadi Aap Copy Paste Ko Apne Blog Par Disallow Karte Hai To Nischit Hi Aapka Blog Google Adsense Ke Liye 100% Fit Honga Jo Ki Aapko Adsense Account Approve Hone Me Jara Sab Hi Deri Nahi Lagega.

To Aap Apne Blog Se Earning Karna Chahte Hai To Aap Hamesa Copy Paste Post Se Khud Ko Bachaye .

Adsense Approve Tips – Regular Blog Ko Update Karna

नियमित रूप से ब्लॉग को अपडेट करते रहना 

Kisi Bhi Blog Ke Liye Blog Ka Regular Basis Par Update Hote Rahna Jaruri Hai Aisa Karne Se Aapke Blog Par Naye Naye Post Logo Ko Padhane Ko Milege Jisse Ki Aapke Aur Aapke Readers Ke Bich Ek Accha Relation Bhi Banega Fir Jisse Aapki Pageview, Site Ranking, Search Engine Me Top Par Aana Jaise Kayi Fayde Dekhne Ko Milege Jisse Ki Aapko Apne Blog Ko Adsense Account Approve Karne Ke Time Nahi Lagega Aur Fir Accha Regular Pageview Hone Par Apke Blog Ko Aasani Se Adsense Account Approval Mil Jayega.

Final Words :-

To Yadi Aap Ek Blogger Hai To Upar Bataye Gaye Baato Ko Fallo Karke Aap Bhi Apne Blog Ya Website Ke Liye Adsense Account Approve Kara Skte Hai Air Fir Anya Blogger Ki Tarah Aap Bhi Lakho Me Online Paise Kama Sakte Hai.

Yadi Aapko Yah Post Accha Laga To Ishe Share Bhi Kare Aur Kuch Adsense Account Approval Se Jusdi Koi Janakri Chahte Hai To Hme Comment Box Me Jarur Bataye.

Share करे

LEAVE A RESPONSE

Your email address will not be published. Required fields are marked *